November 24, 2011

Wazoo In Islam: Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan

Wazoo In Islam: Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan

Alhumdulillaahi Rabbil Alameen, Wassalatu assalamu alaika YA Syedil mursaleen, Ammaa Baaad Fa' Azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem, Bismillaa hirrah maa nirrah heem.

Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH
waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen!

Inshallah ess topic mein hum Wazu ka mufassil tareeqa parhengee. Yaad rakhea Nazma ke qabooleyat ka Daroomadar Wazu per hai agar Wazu naqees hua tu namaz parhna na parhna barabar hogaya...

Wazu k 4 Faraz, 12 Sunnate, 26 Mustahab hai...

Wazu ke faraz

Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam farmate hai ke wazu me 4 farz hai,

1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan ke lov tak.


2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
3. Chauthayi sarka masa karna
4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Ye hai Wazu ke 4 Faraz

Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi huwa to namaz bhi nahi hogi.


Wazu ki niyyath

"Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda'oo lirafayil hadas"

yun to wazu ki niyatein buhat sari hai,usme se ek ya bhi hai. Apko jo ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle"Bismillaahi wal hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki

Pyare Aqa swallallaahu alai hi wa sallam farmate hai ke "jo shaks wazu shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na
kare"

dekhiye sirf thuddi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe to hamare namaye amal me bhahut sare nekiya milenge


Wazu ka Tarikha
Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni zuban me istarha kare "Ya Allaah my wazu karta hoon paki hasil karne ke liye" agar hum itna kahe to hamari wazu ki niyath ho jayegi magar Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki sunnath hai aur

Niyath karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dho lein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke peechewali jo ungalika hissa hai woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki kunji hai"

Miswak kare: Apne dono haton ko pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3 martaba Miswak kare,Insha-Allaah azzawajal miswak ka tarikha aur uske sunnatein wazu ka topic khatam hone ke bad bataya jayega, Miswak karne ke bad 3 martaba garare ke sath

Kulli Karen: kulli kare aur aap Roze ki halath mein ho tho garare ke sath na kare balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai tho garare ke sath hi kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye bhi mere Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.

Naak Saaf Karen: Apne naak ke naram haddi tak 3 martaba pani chadaye aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka tarikha ye hai ke apni bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele naak ki dayen (Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf karlen.

Chehra Dhoyen: Chehra dhone ka tarikha ye hai ke, phele ek martaba hateinliyon mein pani leker apni peshani ki jagah se bhahaye aur achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi tarikhe se pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ke pyare dewano,jab ham chehera dhote hai to ye ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu nahi hoga isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal lein, aur chehera dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi ka khilal karne ka tarikha ye hai ke phele apne aage ke janib pani bhahaye, phir daayen (right) janib aur phir bayen(left) janib bhahaye aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is baat ka khas khayal rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche


Haath Dhoyen: 3 martaba apne dono hathon ko koniyoun sameth dhoye. Phele sidha(right) hath dhoye aur phir bayen(left). Jab aap sidha (right) hath dhote hai to phele ek martaba pani bhahaye aur apne hath ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba pani bhahaye aur
phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker acche tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha hathon ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka masa kare Sar ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono haton ko teen hisson mein baant lein. Pehla hissa Kiri (Choti) Ungali, beech wali ungali aur ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon ko ek hissen mein baant lein. Dusra hissa apni shahadath ki ungali Teesra hissa apna Ungootha. Iske baad sar ka Masa karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen Ungaliyon se) apne sar ke uper ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote hein) peeche tak mal lein. phir apni hatheliyon se sar ke dono side ke balon ko peeche se lekar aage tak malein. Uske baad Dusra hisse (Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen. Phir teesra Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka masa karen. Pair Dhoyen: Donu pairo ko takhno sameth dhoye, phele sidha (right) pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye. Jab ap sidha(right) pair dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah karen ke apni
bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli ke darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se shuru karte huea tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi tarha apna bayen(left) pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se shuru karte huea tarteeb se choti ungli per khatam karen).Aur jab aap pair dhote hai to ye zyada ahtiyath rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki yediyean phati hai (yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani bahaye agar waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab wazu hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.


NOTE: jab aap wazu me pair dhote hai to sirf bayen(left) hath istemal kare, sida(right) hath istemal na kare kyun ki woh makrooh hai Donu pair ko dholene ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur qibla rookh hoker kalmaye shahadath pade(2 kalma). Kalmaye Shahadath:"Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu" Ye hai wazu ka mukamal tarikha Please Note: Uper bataye tarike mein kisi tarah ki galati, ya khami, ya chook ho gayi ho tho aap please hamein batayen. Ta'aki kisi se galati na ho. Dua hai ki Rabbe qadir hamein aur aapko sunnaton per amal karte huea mukammal tarike se Wazu karne ki taufiq ada farmaye (Ameen) Ameen Bejaahen-Nabiel Amen Sallallaho Alahe Wasallam…
Sallo Alaal Habib Sallallaho Ta'aala Alahe Wasallam

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri