November 24, 2011

Namaz ki logic.....

Namaz ki logic.....

fiqah e hanfi k tareeka e nmaz bian karnay ma, myrizwi bhai nay apni post ma koi step bhi omit nahi kia..... (MASHALLAH)

Ma nmaz k tamam arkan ki logic bhi bian karna chahta hun..
nmaz asal ma Allah ki tareef, izzat aur insan ki ajzi, farmanbardari k izhar ka symbol hai..

jab koi insan azan ki awaz sun kar sab kaam chore kar nmaz ki taraf ata hai tau woh "moat ki yaad" ka izhar hai, jesay insan ki moat achanak a sakti hai jabkeh woh apnay kaam ma masroof ho tau usay aik lamhay ki mohlat nahi di jati.... isi tarhan insan duniawi kaam chore kar jab Allah o Akbar keh kar hath kaan tak lgata hai tau yeh "dunia se beraghbati" ka symbol hai, yani insan Allah k samnay izhar karta hai k ai rab duniawi zindgi nay mera dil teri yaad se ghafil nahi kia aur tu nay pukara ma dunia chore kar teray samnay hazir.

is k bad insan hath bandh kar khara hota hai jo hath bandhay ghulam ka symbol hai, qiyam ma insan Allah ki hamd k bad Allah se apni ajizi k izhar ma seedhay rastay par chalnay ki taufeeq mangta hai...... us k bad qurani ayat ki tilawat is cheez ka symbol hai k ham nay Allah k kalam ko mazbooti se pakar lia...

is k bad rukoo Allah ki izzat aur hebat k izhar ka symbol hai
us k bad sajda is baat ka symbol hai "ai Allah ma teray har hukam par farmanbardar hon, aur tu nay jis haal ma rakha us par razi hun"

2 sajdon ka matlab hai k insan pehlay matti ma tha, phir zinda hua, phir matti ma jaey ga, aur uski zindgi sirf itni hai jitni 2 sajdon ka darmiani waqfa...

us k bad atttahiat ma bethna Allah k deen ko mazboti se qabol karnay ka symbol hai, aur us ma Allah k bhejay huway peghambar ki risalat ki gawahi di jati hai, aur apnay aur apnay walidain aur tamam naik logon ki maghfirat mangi jati hai...

aur asal ma "practical namaz shuru hoti hai salam phernay k bad"

yani insan jo qol o qarar nmaz ma karta hai uska amli saboot nmaz k bad pesh karay, Allah k ahkamat k mutabik zindgi guzaray..

bajamaat nmaaz parhnay ka sab se bara sabak "unity, faith and discipline" hai, jo logon ko apni amli zindgi ma pesh karna chahiaey..

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri