November 24, 2011

Aurton ka tareeqa with mardon ka tareeqa nimaz

Aurtain bhi isi tarah nimaz parhain jaise uper bayan kiya gaya lekin chand cheezon main auraton aur mardon ki nimaz main farq hae :

1_ Takbeer e Threema k waqt mard (chadar waghera agar ki ui hae se) haath nikal kar kaanon tak uthayen jab k aurton ko har haal main haath nikalay bahair sirf kandhon takuthanay chahiye..

2_ Takbeer e tehema k baad mard naaf k neechay haath bandhain khawateen seenay pe .
3_mard dayen haath ki choti ungli aur angoothay ka halqa bana kar bayen haath ki kalai ko pakrain aur baqi 3 ungliyon ko bayen kalai par bicha dain .

aurton ko dahni hatheli bayen hatheli ki pusht pe rakhni chahiye.

4_mard ruku main ais jukhain k sar aur pusht barabar hojaye. aurton ko sir itna jhukna chahiye jis se haath ghutnon tak pohanch jayen .
5_mard ruku mai ungliyan kushada kar k ghutnon ko pakrain aurton ko baghair kushada kiye haath milaye huwe ghutnay pe rakhnay chahiye.


6_ mard halate ruku main kohniyan pehloo se alag rakhain aurton ko mili hui rakhni chahiye.
7_sajday main mardon ko pait ko ranon se aur baghal ko bazoo se juda rakhna chahiye
aur aurton ko mila kar rakhna chahiye


8- sajday main mardon ki kohniyan zameen se uthi hon aurton ki kohniyan zameen par bichi hon .


9_mardon k paon sajday main ungliyon k bal kharay hon magar aurtain dono paon dahni taraf ko nikal dain .


10_ mardon ko baithnay ki halat main bayen paon par baithna chahiye aur dahnay paon ko ungliyon k bal khara rakhna chahiye . aurton ko dono paon dahni taraf nikal kar baithna chahiye.


11_aurton ko kisi bhi waqt buland awaz se qirat nahi karni chahiye balkay har waqt ahista awaz main parhain jab k mardon k liye baaz halaat main buland awaz se qiraat parhna wajib aur baaz halaat main jaiz hae . aurton ko nimaz main bhi simaT kar rehnay ka hukum hae .

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri