November 24, 2011

Fiqah hanfi ki namaaz

Fiqah hanfi ki namaaz


1. sab say pahlay (kissi bhi zubaan maiN) namaaz ki niyyat ki jati hai...jaisay maiN fajir 2 rekaat naamaaz farz adaa karta houN, peechai iss imaam k (agar baa.jamaa'at ho to), mounH mera ka'abah shareef ki taraaf..... Allaho Akbar kahtay howay dounoun haath kanoun ki lau tak othatay howay naaf k ooper left hatheli k ooper right hatheli rakh kar haath baandh lenaa.

2. niyyat aur haath baandhnay k baad ... sanaa paRhna

3. agar baa.jamaa't namaaz adaa ki jarahi ho to sirf imaam ...aur agar tanha namaaz parhi jarahi ho to namaazi... pahlay soorat faateha paRhegaa + kam az kam koi aik soorat yaa baRi soorat ka kam az kam teen ayat ki telawat karega

4. phir Allah o Akbar kahtay howay rakoo maiN jhuk jayegaa.... rakoo maiN 3 yaa 5 yaa 7 martabah "subhan rabbi alazeem" parhegaa aur phir "same Allah holeman hamedah" kahtaa howaa khara hojaayegaa bilkul seeddhaa.... jamaa't ki soorat maiN imaam "same Allah holeman hamedah" aur muqtadi ... rabbana lakal hamd... kahega

5. phir Allaho Akbar kahtaa howaa sajday maiN chalaa jayegaa.... sajday maiN 3 yaa 5 yaa 7 baar "Subhaana rabbe al Aa'laa" kahegaa aur Allah o Akbar kahta howaa baiTh jayegaa........ phir issi tarah doosra sajdah karegaa

6. doosray sajday k baad dobarah khara hogaa.... aik rekaat poori hogayee ab issi tarah doosri rekaat mokammal karegaa.... magar qirat ka aghaaz soorat faatehaa say karegaa...... sanaa sirf pahli rekat main paRhee jati hai... yaani niyyat + sanaa sirf pahli rekaat main hogi baqyah rekaat sooorat faatehaa say start hogi.

7. doosri rekaat main dounouN sajday k baad baiTh jayegaa aur At.tahiyaat+darooday ibrahimi paRhegaa

8. right side ki taraf mouNh phertay howay Assalam o Alaikum kahega..... phir right side say saamnay ki tarf mouNh pheregaa. ab saamnay say left side ki taraf Assalam o Alaikum kahta howaa salaam pheray gaa....phir saamnay ki taraf mouNh pher legaa..... 2 rekaat namaaz mokammal hogayee... ab chaahay to dua bhi karlay ... beghar dua k bhi namaaz mokammal hogi

9. 4 rekaat ki soorat main doosri rekaat maiN At-tahiyaat parhnay k baad (darood shareef parhay beghair) qayaam ki taraf lauT jayegaa aur seedha khaRaa hokaar haath bandh legaa aur baqyah 2 rekaat issi tarah soorat fatehaa say aghaaz karta howaa parhegaa aur 4 rekaat ki takmeel par salaam pher legaa.

10. 4 rekaat farz ki soorat main teesri aur chauthee rekaat main qiraat main sirf soorat fatehaa paRhegaa... saath main koi soorat nahi milayegaa (as done in 1st & 2nd rekaat)

11. 4 rekaat sunnat ghair mo'akkedah ki soorat main doosri rekaat k baad at-tahiyaat k baad darood shareef bhi parhegaa coz sunnat ghair mo'akkedah nafil namaaz ki tarah hoti hai jo 2 rekaat pay mokammal hojati hai

PS: agar above statement main koi mistake nazar aa.ay to please correct kardaiN.

ahlay tash'ee hazraat, bohri, agha khani, ahmadi aur deger tamaam masaalak say wabistah khawateen o hazraat bhi apni apni namaazoun ka tareeqah yahaan zaroor likhaiN. as KZ said, yeh aik maloomaati thread hai. iss main koi bahas /tanqeed allowed nahi. sab apni apni namaaz k tareeqay likhaiN dat's all.

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri