July 25, 2012

Method of TAHAJJUD Namaz

Tahajjud Namaz Time - Tahajjud Prayer Method

1. Tahajjud ki naamaaz ka masnoon waqt: Raat ishaa ki namaaz paRh kar so jaa naa aur fajir ki azaan say pahlay pahlay kissi waqt bhi uth kar nafil namaaz paRhnaa... tahajjud ki namaaz kahlati hai.... ramazan main bil.amoom sehri khanay say pahlay easily parhi jasakti hai..... agar poori raat shab bedaari ki ho tab bhi azaanay fajir say qabal paRhi jasakti hai

2. Tahajjud ki rakaat: Tahajjud namaaz ek nafil namaaz hai. iski koi tadaad fixed nahi. albattah 4 rekaat tahajjud paRhna masnoon hai... zeyadah bhi paRhi jasakti hai.... chaar chaar rekaat karkay....... yani ek waqt maiN ek niyyat k saath 4 rekaat aam namazouN ki tarah paRhnaa.

3. Tahajjud namaaz ka tareeqah: yeh ek nafil namaaz hai... issay aam nafil namaaz ki tarah paRhaiN... doosri rekaat maiN aakhir tak sab kuch paRhna hai (at.tahyyat+darood shareef+dua) aur salaam phernay say qabal khaRay hokar baqya 2 rekaat poori karni hai aur 4 rekaat par salaam phernaa hai.

4. Salaam phernay ka tareeqah: wohi hai jo aam namaazoun ka hai. magar salaam phernay main log 'amooman' ghalati kar jatay haiN. hum tashahud main qiblah rukh baithay hotay haiN... aur assalamo alaukim wa rahmatullah kahtay howay right side tak chehra pherletay haiN. (yaani 90 degree right side tak chehrah phertay haiN) ......  aur phir right side say hi dobarah assalamo alaukim wa rahmatullah 'kahtay howay right --> left side ko chehraa 180 deg tak pher letay haiN.... yeh taraeqah ghalat hai....
har salam main chehray ko sirf aur sirf 90 degree tak pherna hai.

a) Right-salam= qiblah rukh taa right side end (i.e. 90 deg)... chehrah phertay howay saath saath salaam kahnaa

b) No salam = chehray kaa right side taa qiblah rukh wapsi.... kuch nahi kahnaa hai / salaam nahi parhna hai 

c) Left-salam= qiblah rukh taa left-ide end (i.e. 90 deg)... chehrah phertay howay saath saath salaam kahnaa

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri