November 24, 2011

Namaz aur Parda

Asslam o alikum.

is topic me namaz parhne ka tariqa likha gya h jo k bilkul theik h lekin ye nahi :-

" aurton ki kohniyan zameen par bichi hon ."

Sahih Bukhari ki hadees hai:

باب : سجدوں میں اپنی کہنیاں (زمین پر) نہ بچھائے۔
حدیث نمبر : 466
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: “ سجدوں میں اعتدال کرو اور تم میں سے کوئی شخص اپنی دونوں کہنیاں (زمین پر)، جس طرح کہ کتا بچھا لیتا ہے، نہ بچھائے۔


koi bhi shakhas yani mard ho ya aurat.wallahu allam

aur mera aik sawal ye hai k hum aksar bahir jate hain to zahir hai full parda kr k jate hain.aur isi trha Haram Sharif jate hain tab bhi.aur wahan pr aurton & mardon k bethne ki jga alag hai.lekin jab hum kabhi late pohnchte hain yani namaz ho rahi hoti h to hum bahir hi namaz me shamil ho jate hain jahan aurton ki saf lagi ho.aur thora hi pas mardon ki bhi,aur baz-ouqat kuch mard namaz nahi parh rahe hote ya abhi aa rahe hote hain to onki nazar aurton pr bhi par jati h.


to ab sawal ye hai k kia kisi hadees se sabit hoa hai k aurat namaz me niqab kia ho?

kiu k kuch log kehte hain k namaz k time aurat ka niqab krna sahi nahi os ki namaz nahi hoti,aur kuch log kehte hain k parda hr surat kia jana chahiye.agar kahin se be-pardagi na ho to phir aap ese parhein warna karein.

No comments:

Post a Comment

Tu Zinda Hai Wallah - Owais Raza Qadri