Roza
Roza ko arabi men imsaak kehte hen or imsaak k maani rukne k he yaani chalne, phirne , bolne or khane peene se ruk janajub k sharayii aitibaar se roze se muraad niyat k sath khane peene or hambistri se rukna he
Quran e Pak men irshad hota hewa kolo washrabo hatta yatabayyana lakum ul khaita alabyada min al khaiti laswadi min al fajri summa atimm o ssayama ilal laili
or aik or jaga iorshad hota he
Roza na rakhne ki ijazat
wo amoor jin men roza na rakhne ki ijazat he wo ye hen
1. mareez
2. musaafir
in dono per ayat mubaarika he
3. hameela hona
4. bache ko dhodh pilane wali aurat ko b roza na rakhne ki ijazat he ager usk bache ki sehat kharab hone ka dar ho to
5. shadeed bhook k jis ki waja se halakat ka khatra ho
6. shadeed piyas
7. ziada burhapa
fidya
awal to y he k jo roz na rakh sake wo uski baad men kaza ker le jese mareez sehat yaab ho jaye ya musafir safar se aa jaye or isi tarhan k dosre masail men ye hukum he k jub uzar na rahe to rozon k kaza ker le or agaer kaza na ker sakta ho jaise borha ho to wo apne aik roze k badle men aik miskeen ko khana khila de jese ayat mubarka men he
No comments:
Post a Comment