Rajab ka Mahina- Full of Rewards
Fasting in Rajab
Ibadah in Rajab
Read in English, Urdu, Hindi...
Urdu / Hindi Readers
Urdu / Hindi Readers
Fasting in Rajab
I would like to stress the fact that observing voluntary fasting during the sacred months or Al-Ashhur Al-Hurum, including the month of Rajab, is recommended or mandub. The Prophet (peace and blessings be upon him) is reported to have instructed his Companions (may Allah be pleased with them) to observe voluntary fasting in Al-Ashhur Al-Hurum.
Ibadah of Rajab
Read in English, Urdu, Hindi...
Urdu / Hindi Readers
Hazrat Muhammad Sal Allaho Alehi Wasallam ka farman hai keh Rajab ke maheenay ki be-shumar fazeelat hai. Iss maheenay ki ibadat bohat afzal hai. Hazrat Muhammad Sal Allaho Alehi Wasallam irshad farmatey hein keh jab Rajab ke maheenay ka chaand dekho to yeh dua parho:
"Allahumma Barik Lana Fi Rajaba Wa Sha'bana Wa Ballighnaaa Ilaa Shah'ri Ramazan."
Rajab key maheenay ki pehli Raat:
1. Isha ki Namaz key baad 10 Rakaat namaz 5 Salam key sath parho aur Har rakaat mein Surah-e-Fatiha key baad Surah-e-Kafiroon 3 baar aur Surah Ikhlaas 3 baar parho. InshaAllah iss namaz parhney walay ko Allah Ta'ala qayamat key roz shaheedon mein shamil kare ga aur hazar darjay buland kare ga. (InshaAllah, Wallahu Alam)
2. Isha ki namaz key baad 4 rakat namaz 2 salam ke sath parho. Har rakaat mein Soorah-e-Fatiha ke baad Soorah-e-Nashrah 1 baar, Soorah-e-Ikhlas 1 baar, Soorah-e-Falaq aik baar, Soorah-e-Naas aik baar parho. Jab 2 Rakat ka salam phero to Kalma-e-Tauheed 33 baar aur Darood Shareef 33 baar parho. Phir next 2 rakaat ki niyyat bandh ker pehli 2 rakat ki tarah parh lo. Phir salam phernay ke baad Kalma-e-Tauheed 33 baar aur Darood Shareef 33 baar parh lo. Uss key baad jo bhi hajat (desire, need, dua) ho, Allah Ta'ala sey mang lo. InshaAllah Allah ke hukam sey har hajat qabool ho gi.(InshaAllah, Wallahu Alam)
Rajab Ka Pehla Din:
1. Namaz-e-Zuhar key baad 2 rakat namaz parho. Har rakat mein Soorah-e-Fatiha key baad Soorah-e-Ikhlas 5 baar parhni hai. Salam phernay key baad apnay previous gunahon sey taubah ker lo. InshaAllah iss namaz ko parhney walay ke tamam gunah maaf ho jaein gey aur maghfirat ho gi Allah ke hukam sey. (InshaAllah, Wallahu Alam)
Rajab key har Jumma ki Raat:
1. Isha ki namaz key baad 2 Rakat Namaz parho. Pehli rakat mein Soorah-e-Fatiha key baad Surah-e-Baqrah ka akhri ruku( last part ) "AamannaRrasool" sey ley ker "Kafireen" tak 7 baar parho. Phir doosri rakat mein Soorah-e-Fatiha key baad Soorah-e-Hashar ki akhrit ayat (last ayah) "Huwa Allazi" sey le ker "Al-Hakeem" tak 7 baar parho. Salam phernay key baad jo dua mango gey InshaAllah Allah ke hukam sey qabool ho gi. Har maqsad key liye yeh namaz bohat afzal hai. (InshaAllah, Wallahu Alam)
Lailatu Raghaib:
Lailatuu Raghaib issi maheenay mein hoti hai aur iss maheenay key pehlay Jumma ki raat ka naam Lailatu Raghaib hai. Iss raat mein Maghrib ki namaz key baad 12 Rakat namaz 6 salam ke sath parho. Har rakat mein Soorah-e-Qadar 3 baar aur Soorah-e-Ikhlaas 12 baar parhni hai. Khatam kernay key baad 70 baar yeh parho-: "Allahumma Salle Ala Muhammadini Nnabiyi Al-Ummiyi Wa Alaaa Alehi Wa Sallim". Uss key baad Sajda mein chaley jao aur 70 baar yeh parho-: "Subbuhun Quddusun Rabbul-Malaikati Wa-Rruuhi". Phir sajday sey sir uthao aur yeh 70 baar parho-: "Rabbighfir War-hamm Wa Yuhada Zu'ama Ta'lamu Innaka Antal-Azizu al-A'zam" phir doosra Sajda kero pehlay sajday ki tarah. Phir jo dua mango gey InshaAllah Allah ke hukam sey qabool ho gi.(InshaAllah, Wallahu Alam)
Rajab ke Pehlay Jumma Ke Din:
1. Zuhar aur Asar ki namaz key darmeyan 4 rakat namaz 1 salam key sath parho. Har rakat mein Soorah-e-Fateha key baad Ayat Al-Kursi 7 baar aur Soorah-e-Ikhlaas 5 baar parho. Salam phernay key baad 25 baar yeh parho: "La Hol Wa La Quwwata Illa Billahil-Kabiri al-Muta'al" phir 100 baar Astaghfar parhay phir 100 baar darood parhey, phir jo bhi dua karo duniya ki ya deen ki InshaAllah Allah ki bargah mein zaroor qabool ho gi.(InshaAllah, Wallahu Alam)
English Version of Ibadah in Rajab
Prophet Muhammad (Peace be Upon Him) have told us that month of Rajab is full of Virtues. Ibadah (prayers, fasting) of this month is highly ranked. Prophet Muhammad (Peace be Upon Him) also told us that when you sight moon of Rajab then say this dua (prayer):
"Allahumma Barik Lana Fi Rajaba Wa Sha'bana Wa Ballighnaaa Ilaa Shah'ri Ramazan."
First Night of Rajab:
1. After Isha prayer, offer 10 rakat salaah with 5 salam and in each rakah after Surah-e-Fatiha, recite Soorah-e-Kafirun 3 times and Surah-e-Ikhlaas 3 times. InshaAllah he will be among martyrs on the day of Qayamah and his ranks will improve 1000 times. (InshaAllah, Wallahu Alam)
2. After Isha prayer, offer 4 rakat salaah with 2 salam and in each rakah after Soorah-e-Fatiha recite Soorah-e-Nashrah 1 time,, Soorah-e-Ikhlas 1 time, Soorah-e-Falaq 1 time, Soorah-e-Naas 1 time. After completing first 2 rakah recite Kalima-e-Tauheed 33 timesand Darood Shareef 33 times. Then offer next 2 rakah the same as first two rakah. Then after that recite Kalima-e-Tauheed 33 times and Darood Shareef 33 times again. After that whatever dua you will ask for, ask Allah for it. InshaAllah with Allah's will your dua/need/request will be fulfilled. (InshaAllah, Wallahu Alam)
First Day of Rajab:
1. After Duhur prayer, offer 2 rakah salaah. In each rakah after Soorah-e-Fatiha, recite Soorah-e-Ikhlas 5 times. After that ask for forgiveness for the sins you have done in whole of your life. InshaAllah with Allah's will the person who offers this salaah, his sins will be forgiven. (InshaAllah, Wallahu Alam)
Every Friday Night of Rajab:
1. After Isha prayer, offer 2 rakah salat. In first Rakah after Soorah-e-Fatiha recite Soorah-e-Baqrah's last ruku(part) from "AamannaRrasool" to "Kafireen" 7 times. Then in second rakah, after Soorah-e-Fatiha recite Soorah-e-Hashar's last ayah "Huwa Allazi" to "Al-Hakeem" 7 times. After that whatever you will ask from Allah Subhan Wa Ta'ala, InshaAllah it will be accepted. (InshaAllah, Wallahu Alam)
Lailatu Raghaib is in the month of Rajab. The night of first friday of Rajab is named as Lailatu Raghaib. In this night, after Maghrib prayer offer 12 Rakah salaah with 6 salam. In each rakah recite Soorah-e-Qadar 3 times and Soorah-e-Ikhlaas 12 times. After finishing this, recite 70 times: "Allahumma Salle Ala Muhammadini Nnabiyi Al-Ummiyi Wa Alaaa Alehi Wa Sallim" then go for Sajdah and recite 70 times: "Subbuhun Quddusun Rabbul-Malaikati Wa-Rruuhi" then get back again and recite "Rabbighfir War-hamm Wa Yuhada Zu'ama Ta'lamu Innaka Antal-Azizu al-A'zam" then do sajdah again like the previous sajdah then ask from Allah Subhan Wa Ta'ala, InshaAllah Allah Subhan wa Ta'ala will accept it. (InshaAllah, Wallahu Alam)
On First Friday of Rajab:
1. In between Zuhar and Asar prayers, offer 4 rakah salaah with 1 salam. In each rakah after Soorah-e-Fatiha recite Ayat Al-Kursi 7 times and Soorah-e-Ikhlaas 5 times. After that recite 25 times: "La Hol Wa La Quwwata Illa Billahil-Kabiri al-Muta'al" then recite Astaghfar 100 times and Darood Shareef 100 times. Then ask from Allah Subhan Wa Ta'ala, InshaAllah Allah Subhan wa Ta'ala will accept it. (InshaAllah, Wallahu Alam)
No comments:
Post a Comment